Saturday, May 3, 2008

Jiya ho Jiya kuch bol do ( JAB PYAR KISI SE HOTA HAI )

Lyrics:

ho ho!! aah haa ...
(jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do ) - 2
aah haa aa ....
jab pyaar kisi se hota hai
to dard saa dil mein hota hai
tum ek haseen ho laakhon mein
bhalaa paake tumhe koi khota hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do

nazaron se kitne teer chale
chalne do jigar par jhelenge
in pyaar ki ujali raahon par
ham jaan ki baazi khelenge
in do nainon ke saagar mein
koi dil ki naiyaa dubota hai
o jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil ka parda khol do ...

tum bhi to is aag mein jalte ho
chehare se bayaan ho jata hain
har baat pe aahe bharte ho
har baat pe dil tharraataa hai
jab dil pe chhuriyaan chalati hain
to chain se koi sotaa hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do

Sunday, April 13, 2008

Musafir Hoon Yaaron ( PARICHAY )

Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Hm Hm He
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Ek Raah Rukh Gayi Tho Aur Judh Gayi
Main Mura Tho Saath Saath Raha Murgayi
Hawaon Ke Paron Par Mera Ashiana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Din Ne Haath Thaam Kar Idhar Bithaliya
Raat Ne Ishaare Se Udhar Bulahliya
Subah se Shaam Se Mera Dostana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Kya Hua Tere vaada ( HUM KISI SE KAM NAHIN )

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada (2x)
bhoolega dil jis din tumhe
oh din zindagi ka aakhri din hoga (2)
Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada

Bhoolega dil jis din tumhe
woh din zindagi ka aakri din hoga (child)

Yaad hai mujhko tune kaha tha
Tujhse nahin roothengey kabhi
Dil ki tarah se haat mile hain
Kaise bhala chootengey kabhi
Teri baahon mein beeti har shaam
bewafa yeh bhi kya yaad nahin

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada
bhoolega dil jis din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga

O kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
woh jisne gham liya pyaar ke khatri
yah jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada
bhoolega dil jis din tumhe
oh din zindagi ka aakhri din hoga

Kya hua tera waada woh kasam woh iraada
Woh kasam....

Laaga Chunri me daag ( Dil hi to hai )

Laaga, chunari mein daag, chhupaau kaise, laaga, chunari mein daag
Chunari mein daag, chhupaau kaise, Ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Ho gayi maili mori chunariya,
Kore badan si kori chunariya - 2
Aa ... jaake baabul se,
Nazarein milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Bhool gayi sab vachan bida ke kho gayi main sasuraal mein aake
Aa ... jaake baabul se,
Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Kori chunariya aatma mori mail hai maaya jaal -2
Woh duniya more baabul ka ghar,
Ye duniya sasuraal
Haan jaake, baabul se,
Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Din Dhal Jaaye ( GUIDE )

din Dhal jaaye haay, raat naa jaay
tuu to na aae terii, yaad sataaye, din Dhal jaaye


pyaar me.n jinake, sab jag chho.Daa, aur hue badanaam
unake hii haatho.n, haal huaa ye, baiThe hai.n dil ko thaam
apane kabhii the, ab hai.n paraaye
din Dhal jaaye haay ...

aisii hii rim-jhim, aisii fuvAre.n, aisii hii thii barasaat
khud se judaa aur, jag se paraaye, ham dono.n the saath
phir se vo saavan, ab kyuu.N na aaye
din Dhal jaaye haay ...

dil ke mere tum, paas ho kitanii, phir bhii ho kitanii duur
tum mujh se mai.n, dil se pareshaa.N, dono.n hai.n majabuur
aise me.n kisako, kaun manaaye
din Dhal jaaye haaye ...

Tere Mere Sapne Ab Ek Rang Hain ( GUIDE )

Tere mere sapne, ab ek rang hain
Jahaa bhee le jaaye raahe, hum sang hain

mere tere dil kaa, tay thaa yek din milanaa
jaise bahaar aane par, tay hain fool kaa khilanaa
o mere jeewan saathee...

Tere Dukh ab mere, mere sukh ab tere
tere ye do nainaa, chaand aaur suraj mere
o mere jeewan saathee...

laakh manaa le duniyaa, saath naa ye chhotegaa
aa ke mere haathon me, haath naa ye chhootegaa
o mere jeewan saathee...


Koi Hota Jisko Apna ( MERE APNE )

koee hotaa jis ko apanaa, hum apanaa kah lete yaaro
paas naheen to door hee hotaa, lekeen koee meraa apanaa

aakho mein neend naa hotee, aansoo hee tairate rahate
khwaabaane mein jaagate hum raat bhar
koee to gam apanaataa, koee to saathee hotaa

bhoolaa huaa koee waadaa, beetee huyee kuchh yaade
tanahaee doharaatee hain raatabhar
koee dilaasaa hotaa, koee to apanaa hotaa