Wednesday, March 5, 2008

Raat Kali Ek Khwab Mein ( Buddha Mil Gaya )

Lyrics:


Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Subah Ko Jab Hum Neend Se Jaage
Aankh Tumhise Chaar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Chahe Kaho Ise Meri Mohabbat
Chahe Hasi Mein Uda Do
Yeh Kya Hua Mujhe Mujhko Khabar Nahin
Ho Sake Tum Hi Bata Do
Tumne Kadam Jo Rakha Zameen Par
Seene Mein Kyun Jhankar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Aankhon Mein Kajal Aur Latton Mein
Kali Ghata Ka Basera
Sawali Surat Mohni Murat
Saawan Rut Ka Savera
Jab Se Yeh Mukhda Dil Mein Khila Hai
Duniya Meri Gulzar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Yoon To Haseenon Ke Mahjabeenon Ke
Hote Hain Roz Nazare
Par Unhe Dekhke Dekha Hai Jab Tumhe
Tum Lage Aur Bhi Pyare
Bahon Mein Le Loon Aisi Tamanna
Ek Nahin Kai Baar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Maine Tere Liye Hi ( Anand )

Lyrics:

Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune,
Sapne, surile sapne,
Kuch hansee ke, kuch gum ke,
Teri ankhon ke saye churaye rasili yaadon ne,
Maine tere liye hi saat rang ke...

Choti baaten,
Choti choti baaton ki hai yaadein bani,
Bhoole nahin bithi hui ek choti ghadi,
Janam janam se, aankhen bichaaye, tere liye in rahon
mein,
Maine tere liye ...

Bhole bhale,
Bhole bhale dil ko behlate rahe,
Tanhai mein tere khayalon ko sajate rahe,
Kabhi kabhi tho, aavaaz dekar, mujhko jagaya khabon
ne,
Maine tere liye ...

Roothi raatein,
Roothi hui raaton ko jagaya kabhi,
Tere liye bithi subah ko bulaya kabhi,
Tere bina bhi, tere liye hi, diye jalaye raaton mein,
Maine tere liye ...

Tujhse Naaraz Nahi Zindagi ( MASOOM )

Lyrics:

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main
tere masoom savalon se pareshaan hooN main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai
jaise hontonn pe karz rakhaa hai
tujhase ...

aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya
ek aansu chhupake rakha tha
tujhase ...

zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

Ek Pyar Ka Nagma Hai ( Shor )

Lyrics:

Mm mm mm, mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

Ek pyar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon

Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

Ek pyar ka nagma hai

Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye ( Anand )

Lyrics:


Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye
Chupke Se Aaye
Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye

Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yun Hi Aankhen
Kabhi Machal Ke Pyar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Kahin Door...

Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate
Thami Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraaye
Kahin Door...

Humein Tumse Pyar Kitna ( Kudrat )

Lyrics:

humei tum se pyaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

sunaa gam judaee kaa, uthhaate hain log
jaane jindagee kaise, bitaate hain log
din bhee yahaa to lage, baras ke samaan
humei intajaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

tumhe koee aaur dekhe, to jalataa hain dil
badee mushkilon se fir, sanbhalataa hain dil
kyaa, kyaa jatan karate hai, tumhe kyaa pataa
ye dil bekaraar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa