Saturday, May 3, 2008

Jiya ho Jiya kuch bol do ( JAB PYAR KISI SE HOTA HAI )

Lyrics:

ho ho!! aah haa ...
(jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do ) - 2
aah haa aa ....
jab pyaar kisi se hota hai
to dard saa dil mein hota hai
tum ek haseen ho laakhon mein
bhalaa paake tumhe koi khota hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do

nazaron se kitne teer chale
chalne do jigar par jhelenge
in pyaar ki ujali raahon par
ham jaan ki baazi khelenge
in do nainon ke saagar mein
koi dil ki naiyaa dubota hai
o jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil ka parda khol do ...

tum bhi to is aag mein jalte ho
chehare se bayaan ho jata hain
har baat pe aahe bharte ho
har baat pe dil tharraataa hai
jab dil pe chhuriyaan chalati hain
to chain se koi sotaa hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do

Sunday, April 13, 2008

Musafir Hoon Yaaron ( PARICHAY )

Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Hm Hm He
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Ek Raah Rukh Gayi Tho Aur Judh Gayi
Main Mura Tho Saath Saath Raha Murgayi
Hawaon Ke Paron Par Mera Ashiana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Din Ne Haath Thaam Kar Idhar Bithaliya
Raat Ne Ishaare Se Udhar Bulahliya
Subah se Shaam Se Mera Dostana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Kya Hua Tere vaada ( HUM KISI SE KAM NAHIN )

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada (2x)
bhoolega dil jis din tumhe
oh din zindagi ka aakhri din hoga (2)
Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada

Bhoolega dil jis din tumhe
woh din zindagi ka aakri din hoga (child)

Yaad hai mujhko tune kaha tha
Tujhse nahin roothengey kabhi
Dil ki tarah se haat mile hain
Kaise bhala chootengey kabhi
Teri baahon mein beeti har shaam
bewafa yeh bhi kya yaad nahin

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada
bhoolega dil jis din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga

O kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
woh jisne gham liya pyaar ke khatri
yah jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin

Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada
bhoolega dil jis din tumhe
oh din zindagi ka aakhri din hoga

Kya hua tera waada woh kasam woh iraada
Woh kasam....

Laaga Chunri me daag ( Dil hi to hai )

Laaga, chunari mein daag, chhupaau kaise, laaga, chunari mein daag
Chunari mein daag, chhupaau kaise, Ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Ho gayi maili mori chunariya,
Kore badan si kori chunariya - 2
Aa ... jaake baabul se,
Nazarein milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Bhool gayi sab vachan bida ke kho gayi main sasuraal mein aake
Aa ... jaake baabul se,
Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Kori chunariya aatma mori mail hai maaya jaal -2
Woh duniya more baabul ka ghar,
Ye duniya sasuraal
Haan jaake, baabul se,
Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise
Laaga, chunari mein daag...

Din Dhal Jaaye ( GUIDE )

din Dhal jaaye haay, raat naa jaay
tuu to na aae terii, yaad sataaye, din Dhal jaaye


pyaar me.n jinake, sab jag chho.Daa, aur hue badanaam
unake hii haatho.n, haal huaa ye, baiThe hai.n dil ko thaam
apane kabhii the, ab hai.n paraaye
din Dhal jaaye haay ...

aisii hii rim-jhim, aisii fuvAre.n, aisii hii thii barasaat
khud se judaa aur, jag se paraaye, ham dono.n the saath
phir se vo saavan, ab kyuu.N na aaye
din Dhal jaaye haay ...

dil ke mere tum, paas ho kitanii, phir bhii ho kitanii duur
tum mujh se mai.n, dil se pareshaa.N, dono.n hai.n majabuur
aise me.n kisako, kaun manaaye
din Dhal jaaye haaye ...

Tere Mere Sapne Ab Ek Rang Hain ( GUIDE )

Tere mere sapne, ab ek rang hain
Jahaa bhee le jaaye raahe, hum sang hain

mere tere dil kaa, tay thaa yek din milanaa
jaise bahaar aane par, tay hain fool kaa khilanaa
o mere jeewan saathee...

Tere Dukh ab mere, mere sukh ab tere
tere ye do nainaa, chaand aaur suraj mere
o mere jeewan saathee...

laakh manaa le duniyaa, saath naa ye chhotegaa
aa ke mere haathon me, haath naa ye chhootegaa
o mere jeewan saathee...


Koi Hota Jisko Apna ( MERE APNE )

koee hotaa jis ko apanaa, hum apanaa kah lete yaaro
paas naheen to door hee hotaa, lekeen koee meraa apanaa

aakho mein neend naa hotee, aansoo hee tairate rahate
khwaabaane mein jaagate hum raat bhar
koee to gam apanaataa, koee to saathee hotaa

bhoolaa huaa koee waadaa, beetee huyee kuchh yaade
tanahaee doharaatee hain raatabhar
koee dilaasaa hotaa, koee to apanaa hotaa

Meri Bheegi Bheegi Si ( Anamika )

Meri Bheegi Bheegi Si Palkon Pe Reh Gaye
Jaise Mere Sapne Bikhar Ke
Jale Man Tera Bhi Kisike Milanko
Anamika Tu Bhi Tarse

Tujhe Bin Jaane Bin Pehchane
Maine Hrudayse Lagaya
Par Mere Pyar Ke Badle Mein Toone
Mujhko Yeh Din Dikhlaya
Jaise Birha Ki Rut Maine Kaati Tadapke
Aahen Bhar Bharke
Jale Man Tera Bhi...

Aag Se Naata Naari Se Rishta
Kaahe Man Samajh Na Paaya
Mujhe Kya Hua Tha Ek Bewafaa Pe
Hai Mujhe Kyon Pyaar Aaya
Teri Bewafaai Pe Hanse Jag Saara
Gali Gali Guzre Jidharse
Jale Man Tera Bhi...

Wednesday, March 5, 2008

Raat Kali Ek Khwab Mein ( Buddha Mil Gaya )

Lyrics:


Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Subah Ko Jab Hum Neend Se Jaage
Aankh Tumhise Chaar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Chahe Kaho Ise Meri Mohabbat
Chahe Hasi Mein Uda Do
Yeh Kya Hua Mujhe Mujhko Khabar Nahin
Ho Sake Tum Hi Bata Do
Tumne Kadam Jo Rakha Zameen Par
Seene Mein Kyun Jhankar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Aankhon Mein Kajal Aur Latton Mein
Kali Ghata Ka Basera
Sawali Surat Mohni Murat
Saawan Rut Ka Savera
Jab Se Yeh Mukhda Dil Mein Khila Hai
Duniya Meri Gulzar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Yoon To Haseenon Ke Mahjabeenon Ke
Hote Hain Roz Nazare
Par Unhe Dekhke Dekha Hai Jab Tumhe
Tum Lage Aur Bhi Pyare
Bahon Mein Le Loon Aisi Tamanna
Ek Nahin Kai Baar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui

Maine Tere Liye Hi ( Anand )

Lyrics:

Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune,
Sapne, surile sapne,
Kuch hansee ke, kuch gum ke,
Teri ankhon ke saye churaye rasili yaadon ne,
Maine tere liye hi saat rang ke...

Choti baaten,
Choti choti baaton ki hai yaadein bani,
Bhoole nahin bithi hui ek choti ghadi,
Janam janam se, aankhen bichaaye, tere liye in rahon
mein,
Maine tere liye ...

Bhole bhale,
Bhole bhale dil ko behlate rahe,
Tanhai mein tere khayalon ko sajate rahe,
Kabhi kabhi tho, aavaaz dekar, mujhko jagaya khabon
ne,
Maine tere liye ...

Roothi raatein,
Roothi hui raaton ko jagaya kabhi,
Tere liye bithi subah ko bulaya kabhi,
Tere bina bhi, tere liye hi, diye jalaye raaton mein,
Maine tere liye ...

Tujhse Naaraz Nahi Zindagi ( MASOOM )

Lyrics:

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main
tere masoom savalon se pareshaan hooN main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai
jaise hontonn pe karz rakhaa hai
tujhase ...

aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya
ek aansu chhupake rakha tha
tujhase ...

zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

Ek Pyar Ka Nagma Hai ( Shor )

Lyrics:

Mm mm mm, mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

Ek pyar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon

Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

Ek pyar ka nagma hai

Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye ( Anand )

Lyrics:


Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye
Chupke Se Aaye
Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye

Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yun Hi Aankhen
Kabhi Machal Ke Pyar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Kahin Door...

Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate
Thami Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraaye
Kahin Door...

Humein Tumse Pyar Kitna ( Kudrat )

Lyrics:

humei tum se pyaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

sunaa gam judaee kaa, uthhaate hain log
jaane jindagee kaise, bitaate hain log
din bhee yahaa to lage, baras ke samaan
humei intajaar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

tumhe koee aaur dekhe, to jalataa hain dil
badee mushkilon se fir, sanbhalataa hain dil
kyaa, kyaa jatan karate hai, tumhe kyaa pataa
ye dil bekaraar kitanaa, ye hum naheen jaanate
magar jee naheen sakate, tumhaare beenaa

Wednesday, November 21, 2007

chala jaata hoon ( Mere Jeevan Sathi 1972 )

Lyrics:

chalaa jaataa hoo, kisee kee dhoon me, dhadakate dil ke taraane liye
milan kee mastee bharee aakhon me, hajaaro sapane suhaane liye

ye mastee ke najaare hai, to ayese mein sanbhalanaa kaisaa meree kasam
jo laharaatee dagareeyaa ho, to fir kyo naa chaloo main bahakaa, bahakaa re
mere jeewan mein ye shaam aayee hai, mohabbat waale jamaane liye

wo aalam bhee ajab hogaa, wo jab mere kareeb aayegee meree kasam
kabhee baiyyaa chhudaa legee, kabhee has ke gale se lag jaayegee haay
meree baahon mein machal jaayegee, wo sachche zoothhe bahaane liye

bahaaro me, najaaro me, najar daaloo to ayesaa laage meree kasam
wo naino mein bhare kaajal ghooghant khole khadee hain mere aage re
sharam se bozal zookee palakon me, jawaan raaton ke fasaane liye

Friday, November 16, 2007

Phoolon Ka Taaron Ka ( Hare Rama Hare Krishna )

Lyrics:
Phoolon Ka Taaron Ka Sabka Kehna Hai
Ek Hazaron Mein Meri Behna Hai
Sari Umar Hame Sang Rehna Hai

Ye Na Jaana Duniya Ne Tu Hai Kyon Udaas
Teri Pyaari Aankhon Mein Pyar Ki Hai Pyaas
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jabse Meri Aankhon Se Ho Gayi Tu Door
Tabse Sare Jeevan Ke Sapne Hain Choor
Aankhon Mein Neend Na Dil Mein Chaina Hai
Ek Hazaron Mein ...

Dekho Hum Tum Dono Hain Ek Dali Ke Phool
Maein Na Bhoola Tu Kaise Mujhko Gai Bhool
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...


O Mere Dil Ke Chain ( Mere Jeevan Saathi )

Lyrics:
O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain

Apna Hi Saaya Dekh Ke Tum
Jaane Jahan Sharma Gaye
Abhi To Yeh Pehli Manzil Hai
Tum To Abhi Se Ghabra Gaye
Mera Kya Hoga Socho To Zara
Haay Aise Na Aanhe Bhara Kijiye

O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain

Aap Ka Armaan
Aap Ka Naam
Mera Fasana Aur Nahin
Inn Jhukti Palkon Ke Siva
Mera Thikana Aur Nahin
Jachta Hi Nahin
Aankhon Mein Koi
Dil Tumko Hi Chahe To Kya Kijiye

O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain

Yun To Akela Hi Aksar
Gir Ke Sambhal Sakta Hoon Main
Tum Jo Pakad Lo Haath Mera
Duniya Badal Sakta Hoon Main
Maanga Hain Tumhe Duniye Ke Liye
Ab Khud Hi Sanam Faisla Kijiye

O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain

Mann Kyun Behka Ri Behka ( Utsav )

I will give best rating for this song sung beautifully by Lata & Asha

Lyrics:
man kyon bahakaa ree bahakaa, aadhee raat ko
belaa mahakaa ree mahakaa, aadhee raat ko
kisane bansee bajaayee, aadhee raat ko
jisane palakee churaayee, aadhee raat ko

zaanjar zamake sun zamake, aadhee raat ko
usako toko naa roko, roko naa toko, toko naa roko, aadhee raat ko
laaj laage ree laage, aadhee raat ko
denaa sindoor, ke sooo aadhee raat ko

baat kahate bane kyaa, aadhee raat ko
aankh kholegee baat aadhee raat ko
hum ne pee chaandanee, aadhee raat ko
chaand aankhon mein aayaa, aadhee raat ko

raat gunatee rahegee, aadhee baat ko
aadhee baaton kee peer, aadhee raat ko
baat puree ho kaise, aadhee raat ko


raat hotee shuru hai, aadhee raat ko

Kahan Se Aye Badara ( Chashme Badoor )

Lyrics:

Kahaan Se Aae Badaraa
Ghulataa Jaae Kajaraa
Kahaan Se Aae Badaraa
Ghulataa Jaae Kajaraa

Palakon Ke Satara.Nge Diipak
Ban Baithe Aansuu Ki Jhalar
Motii Kaa Anamolak Hiiraa
Mittii Me Jaa Phisalaa
Kahaan Se Aae Badaraa ...

Niind Piyaa Ke Sang Sidhaarii
Sapanon Ki Suukhii Phulavaarii
Amrit Hothon Tak Aate Hii
Jaise Vishh Mein Badalaa
Kahaan Se Aae Badaraa ...

Utare Megh Yaa Phir Chhaaye
Nirday Jhonke Agana Badhaaye
Barase Hain Ab Tose Saavan
Roe Man Hai Pagalaa
Kahaan Se Aaye Badaraa ...

Is Mod Se Jaate Hain Kuchh Sust Kadam Raste ( Aandhi )

Lyrics:
is mod se jaate hain
kuchh sust kadam raste
kuchh tez kadam raahein
is mod se jaate hain

sahara ki taraf ja kar
ik raah bagolon mein
kho jaati hai chakara kar
ik raah udhadati si
chhilati huyi kaanton se
jangal se guzarati hai
ik daud ke jaati hai
aur kuud ke girati hai
anajaan kalaaon mein
is mod se jaate hain

us mod pe baitha huun
jis mod se jaati hai
har ek taraf raahein
ik roz to yuun hoga
is mod pe aa kar tum
ruk jaaogi kah dogi
wo kaun sa rasta hai
jis raah pe jaana hai - 2
wo kaun sa rasta hai
jis raah pe jaana hai - 2
wo kaun sa rasta hai